Friday, July 25, 2008

JINDGI

ummr jo pai thi khud rishton me batwate rahe

jindgi ko jindgi bhar khwab dikhlate rahe


jab kabhi apnon pe aayi chot bankar jindgi

banke chadar sari choten peeth par khate rahe


jab kabhi chatke ye riste aur silawat khul gayee

kheenchkar apni nasen hum unko silwate rahe


pake tanha khwahishon ne sar uthaya jab kabhi

jindgi hai char din ki khud ko samjhate rahe


jo mila jaisa jab bhi mila apna liya

apna sara sukh batakar youn hi muskate rahe

tum badho badhate raho aur ye falak bhi gher lo

apna kya apna safar din gin ke niptate rahe

hum kahen to kya kahen kisse kahen aur kyon kahen

har subah gopal ji bas tumko dikhlate rahe

jindgi kee aag me krishna ke sapne jal gaye

dard jo nikle unhe ham geet me gate rahe

krishna