Sunday, September 14, 2008

BANDGI

Ye kaisi kasmkash me jindgi hai
Khel hoga tumhara meri to bandgi hai

Teri aankhen tera chehra teri aawaz har pal
Khuda jane ye kaisi bekhudi hai

Udi rangat juban khamosh lov sookhe huye har dam
Tumhee bolo ye kya deewangi hai

Jalakar aasiyan hamne ujala de diya unko
Meri duniya me bas ab teergi hai
Composed By- Krishna

Friday, September 12, 2008

TANHAYI

DARD-E-TANHAYI HAI BOLO KYA KAREN
SHAM DHAL AAYEE HAI BOLO KYA KAREN


AB KAHAN DHOONDHEN VO AANKHEN JHEEL SEE
TISHNGI CHHAYEE HAI BOLO KYA KAREN


PYAAR DHOKHA HAI YAHEE KAHTA THA DIL
JNAA PE BAN AAYEE HAI BOLO KYA KAREN


ITNI KASMEN ITNE VAADE KAISE MANEN HUM FAREB
DIL YAKEEN KARTA NAHI AB KYA KAREN


JINDGI KO JINDGI JISNE BANAYA USEE NE
AB SATANE KI KASAM KHAYI HAI BOLO KYA KAREN


HUM TUMHARE HAIN TUMHARE HI RAHENGE UMR BHAR
PAR TUMHARE PAANV KE KANTO KA AB HUM KYA KAREN


DEKHANA GOPAL JI PHIR KHEENCHKAR LE AAYENGE
HUM KHADE HAIN RAHGUJAR ME AUR BOLO KYA KAREN
krishna