Sunday, August 31, 2008

EHSAS


ITNE RANGON KE JO GULAB MILE
JAISE AAKAR GALE AHBAB MILE

RANG KHUSHIYON ME BHAR GAYE JAISE
PHOOL ALFAZ BAN GAYE JAISE

JHANKTI ROSANI NAZAR AAYEE
MUJHAKO TO JINDGI NAZAR AAYEE

CHHUAN INKI MERE EHSAS ME HAI
MAHAK INKI MERI HAR SAANS ME HAI

KRISHNA

SAFAR










JEEVAN KE IS BHAV SAGAR MEN

BEETE BARAS PACHAS

JITNA TRAPT KARUN TAN-MAN KO

UTANI BARHTI PYAS

MAYA THAGINI NACH NACHAYE

DUNIYA DIKHATI KHAS

HE GOPAL JI TUMHI UBARO

EK TUMHI SE AAS

KRISHNA

28/08/08

Tuesday, August 26, 2008

DOSTI

DOSTI JINDGI KI AAS BHI HAI
DOSTI DO DILON KI PYAS BHI HAI

DOSTI SIRF ITTAFAK NAHI
SIRF AUR SIRF YE MITHAS NAHI

DOSTI HANSKE YOUN MIT JAANA HAI
DOSTI SHAMMA HAI PARWANA HAI

DOSTI HUM WAFA KO KAHTE HAIN
DARDE-DIL KI SIFA KO KAHTE HAIN.
KRISHNA

Saturday, August 23, 2008

DOORI

doori char ghari ki tumse mujhako kya kya sikha gayi
hansna-rona khona-pana sabka matlab bta gayi

aankh teri ho sapne mere gar aisa ho jaye to
apni is besabab bat par aankhen meri baha gayi

maine apne dil se poonchha kyon mujhako bharmate ho
intjar me bhukha pyasa tera chehra dikha gayi

aadat meri bankar tumne kyon mujhako paband kiya
jab koshish ki aadat chhoote koshish mujhako rula gayi
krishna