Monday, August 31, 2009

DUNIYA RAAS NA AAYEE

SAAL IKAVAN GUJRE PHIR BHI
MAYA SAMAJH NA AAYEE
AATA KAUN KAHAN SE
JATA KAUN KAHAN KO BHAEE

JURM KISI KO PTA NAHI
PAR KAID HO GAYEE SABKO
AUR NAHI MALOOM YAHAN SE
KAB HONI HAI RIHAYEE

RAAG- DWESH AUR CHHAL-PRAPANCH KA
LAGA HAI MELA KAISHA
HE GOPAL JI MUJHE KABHI
YE DUNIYA RAAS NA AAYEE

krishna
28/08/09

Thursday, August 6, 2009

VO RISHTA TERA MERA HAI

Kisi geet ka jo kavi man se
Chiriyon ka jo neel gagan se
Door desh ka ghar aangan se
Vo rishta tera mera hai.

Bhaon ka jo hota man se
Pratimaon ka jo poojan se
Aur aatma ka is tan se
Vo rishta tera mera hai.

Aansoo ka jo kisi nayan se
Boondon ka jo hai sawan se
Doooor kchitij par dhara gagan se
Vo rishta tera mera hai.

Dil ki ganthen khol ke dekho
Man ki aankhen khol ke dekho
Chatak sa VISHWAS samete
Ye rishta tera mera hai.

krishna

Sunday, August 2, 2009

TO TUM NARAZ MAT HONA

KISI SAB MAI BINA POONCHHE
JO KHWABON ME CHALA AAOON.
JO FURSAT ME KABHI MILNE
KHAYALON ME CHALA AAOON.
TO TUM NARAZ MAT HONA


MAI JAGA SOYA RAHTA HUN
HAMESHA KHOYA RAHTA HUN
KISI DIN BEKHUDI ME
DAR SE HOKAR HI GUJAR JAOON
TO TUM NARAZ MAT HONA

MUJHE MALOOM HAI TUMKO
NAHI BHATI HAIN NAM AANKHEN
MAGAR MAI CHOT KHAKAR
BETHASA FOOTKAR ROTA CHALA JAOON
TO TUM NARAZ MAT HONA

VO CHAURAHE KA PEEPAL
BHEER KI TANHAIYON ME ROZ KA MILNA
UNHI YADON SE LIPTA MAI
VAHEEN BAITHA NAZAR AAOON
TO TUM NARAZ MAT HONA

VO BEETE KAL KI BATON SE
AGAR TUM ROOTH BAITHE HO
MANANE AUR HANSANE ME
KABHI HANTHON KO CHHOO JAOON
TO TUM NARAZ MAT HONA

KABHI NARAZ MAT HONA
krishna