

ITNE RANGON KE JO GULAB MILE
JAISE AAKAR GALE AHBAB MILE
RANG KHUSHIYON ME BHAR GAYE JAISE
PHOOL ALFAZ BAN GAYE JAISE
JHANKTI ROSANI NAZAR AAYEE
MUJHAKO TO JINDGI NAZAR AAYEE
CHHUAN INKI MERE EHSAS ME HAI
MAHAK INKI MERI HAR SAANS ME HAI
KRISHNA
Hum sab ki jindgi ek safar hi to hai jo khushi aur gam,milan aur tanhai,dard aur masti jaise kitne ehsasas lekar apno aur gairon ke sath dooriyon aur nazdikiyon me chahte aur na chahte huye gujarta hai.Kamal us khuda ka ki jisne har kisi ko ek alag nazariya diya hai ise dekhane ka.Ye jindgi ke rang jaise mujhe dikhayi diye.