Aankhen har lamha ab barsti hain
ashk daman me hum bharen kaise
Baad muddat k hain vo aane ko
vandna unki hum karen kaise
Ye shor dil ka mujhe kuchh nahi sunne dega
dhadkane dil ki km karen kaise
Ek vaada vafa nahi karte
unki baton ka dam bharen kaise
Jigar krishna ka chhalni ho gaya hai
jakhm ashkon se ab bharen kaise.
krishna
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment